Friday, August 5, 2011

Yun hi..


Kab tak jagun yun hi...
thaki si aankhen aab bhi karti hain tera intezaar.

Pata hai tum nahi aaogay...
jaise diye ki batti se dhuan kho jata hai shayad tum kho gae ho kahin.

Aab chal pada hun ek talash main...
Shayad us talash ki aarzo Zindagi hai

Hosh khoya kuch es tarah ki hosh thikane aa gae...
Aankhn khuli to Nasha tha, aasun the aur kuch purani tasveeren

Yea rastey bhi kuch khoye khoye, akele se...
Shayad yahin kahin kisi mod pe maine tumhen kho diya

Aur aab tumhari koi khabar nahi...
Na khabar un aasuon ki, tasveeron ki...

Jab tak tum dastak na do...
Shayad tab tak main jagun, yun hi.